dil-e-betaab ke hamraah safar mein rahna | दिल-ए-बेताब के हमराह सफ़र में रहना - Ahmad Javaid

dil-e-betaab ke hamraah safar mein rahna
hum ne dekha hi nahin chain se ghar mein rahna

swaang bharna kabhi shaahi kabhi darveshi ka
kisi soorat se mujhe us ki nazar mein rahna

ek haalat pe basar ho nahin sakti meri
jaama-e-khaak kabhi khilat-e-zar mein rahna

din mein hai fikr-e-pas-andaazi-e-sarmaaya-e-shab
raat bhar kaawish-e-samaan-e-sehr mein rahna

dil se bhaage to liya deeda-e-tar ne goya
aag se bach ke nikalna to bhanwar mein rahna

ahl-e-duniya bahut aaraam se rahte hain magar
kab mayassar hai tiri raahguzar mein rahna

vasl ki raat gai hijr ka din bhi guzra
mujhe waarftagi-e-haal-e-digar mein rahna

kar chuka hai koi aflaak o zameen ki takmeel
phir bhi har aan mujhe arz-e-hunar mein rahna

दिल-ए-बेताब के हमराह सफ़र में रहना
हम ने देखा ही नहीं चैन से घर में रहना

स्वाँग भरना कभी शाही कभी दरवेशी का
किसी सूरत से मुझे उस की नज़र में रहना

एक हालत पे बसर हो नहीं सकती मेरी
जामा-ए-ख़ाक कभी ख़िलअत-ए-ज़र में रहना

दिन में है फ़िक्र-ए-पस-अंदाज़ी-ए-सरमाया-ए-शब
रात भर काविश-ए-सामान-ए-सहर में रहना

दिल से भागे तो लिया दीदा-ए-तर ने गोया
आग से बच के निकलना तो भँवर में रहना

अहल-ए-दुनिया बहुत आराम से रहते हैं मगर
कब मयस्सर है तिरी राहगुज़र में रहना

वस्ल की रात गई हिज्र का दिन भी गुज़रा
मुझे वारफ़्तगी-ए-हाल-ए-दिगर में रहना

कर चुका है कोई अफ़्लाक ओ ज़मीं की तकमील
फिर भी हर आन मुझे अर्ज़-ए-हुनर में रहना

- Ahmad Javaid
0 Likes

Dil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Javaid

As you were reading Shayari by Ahmad Javaid

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Javaid

Similar Moods

As you were reading Dil Shayari Shayari