achhi guzar rahi hai dil-e-khud-kafeel se | अच्छी गुज़र रही है दिल-ए-ख़ुद-कफ़ील से - Ahmad Javaid

achhi guzar rahi hai dil-e-khud-kafeel se
langar se roti lete hain paani sabeel se

duniya ka koi daagh mere dil ko kya lage
maanga na ik diram bhi kabhi is bakheel se

kya boriya-nasheen ko havas taaj o takht ki
kya khaak-aashnaa ko garz asp o feel se

dil ki taraf se hum kabhi ghaafil nahin rahe
karte hain paasbaani-e-shehr us faseel se

gahwaara-e-safar mein khuli hai hamaari aankh
ta'aamir apne ghar ki hui sang-e-meel se

ik shakhs baadshaah to ik shakhs hai wazeer
goya nahin hain dono hamaari qaabeel se

duniya mere pados mein aabaad hai magar
meri dua-salaam nahin us zaleel se

jaaved ek gham ke siva dil mein hai bhi kya
hum ghar chala rahe hain mata-e-qaleel se

अच्छी गुज़र रही है दिल-ए-ख़ुद-कफ़ील से
लंगर से रोटी लेते हैं पानी सबील से

दुनिया का कोई दाग़ मिरे दिल को क्या लगे
माँगा न इक दिरम भी कभी इस बख़ील से

क्या बोरिया-नशीं को हवस ताज ओ तख़्त की
क्या ख़ाक-आश्ना को ग़रज़ अस्प ओ फ़ील से

दिल की तरफ़ से हम कभी ग़ाफ़िल नहीं रहे
करते हैं पासबानी-ए-शहर उस फ़सील से

गहवारा-ए-सफ़र में खुली है हमारी आँख
ता'मीर अपने घर की हुई संग-ए-मील से

इक शख़्स बादशाह तो इक शख़्स है वज़ीर
गोया नहीं हैं दोनों हमारी क़बील से

दुनिया मिरे पड़ोस में आबाद है मगर
मेरी दुआ-सलाम नहीं उस ज़लील से

'जावेद' एक ग़म के सिवा दिल में है भी क्या
हम घर चला रहे हैं मता-ए-क़लील से

- Ahmad Javaid
0 Likes

Gareebi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Javaid

As you were reading Shayari by Ahmad Javaid

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Javaid

Similar Moods

As you were reading Gareebi Shayari Shayari