chaak karte hain garebaan is faraavani se hum | चाक करते हैं गरेबाँ इस फ़रावानी से हम - Ahmad Javaid

chaak karte hain garebaan is faraavani se hum
roz khilat paate hain darbaar-e-uryaani se hum

muntakhab karte hain maidaan-e-shikast apne liye
khaak par girte hain lekin ouj-e-sultaani se hum

hum zameen-e-qatl-gah par chalte hain seene ke bal
jaada-e-shamsheer sar karte hain peshaani se hum

haan miyaan duniya ki cham-kham khoob hai apni jagah
ik zara ghabra gaye hain dil ki veeraani se hum

zof hai had se ziyaada lekin is ke baawajood
zindagi se haath utha sakte hain aasaani se hum

dil se baahar aaj tak hum ne qadam rakha nahin
dekhne mein zaahira lagte hain sailaani se hum

daulat-e-duniya kahaan rakhen jagah bhi ho kahi
bhar chuke hain apna ghar be-saaz-o-samaani se hum

zarra zarra jagmagaati jalwaa-baaraani-e-dost
dekhte hain rauzan-e-deewar hairaani se hum

aql waalo khair jaane do nahin samjhoge tum
jis jagah pahunchen hain raah-e-chaak-daamaani se hum

kaarobaar-e-zindagi se jee churaate hain sabhi
jaise darveshi se tum maslan jahaanbaani se hum

चाक करते हैं गरेबाँ इस फ़रावानी से हम
रोज़ ख़िलअत पाते हैं दरबार-ए-उर्यानी से हम

मुंतख़ब करते हैं मैदान-ए-शिकस्त अपने लिए
ख़ाक पर गिरते हैं लेकिन औज-ए-सुल्तानी से हम

हम ज़मीन-ए-क़त्ल-गह पर चलते हैं सीने के बल
जादा-ए-शमशीर सर करते हैं पेशानी से हम

हाँ मियाँ दुनिया की चम-ख़म ख़ूब है अपनी जगह
इक ज़रा घबरा गए हैं दिल की वीरानी से हम

ज़ोफ़ है हद से ज़ियादा लेकिन इस के बावजूद
ज़िंदगी से हाथ उठा सकते हैं आसानी से हम

दिल से बाहर आज तक हम ने क़दम रक्खा नहीं
देखने में ज़ाहिरा लगते हैं सैलानी से हम

दौलत-ए-दुनिया कहाँ रक्खें जगह भी हो कहीं
भर चुके हैं अपना घर बे-साज़-ओ-सामानी से हम

ज़र्रा ज़र्रा जगमगाती जल्वा-बारानी-ए-दोस्त
देखते हैं रौज़न-ए-दीवार हैरानी से हम

अक़्ल वालो ख़ैर जाने दो नहीं समझोगे तुम
जिस जगह पहुँचे हैं राह-ए-चाक-दामानी से हम

कारोबार-ए-ज़िंदगी से जी चुराते हैं सभी
जैसे दरवेशी से तुम मसलन जहाँबानी से हम

- Ahmad Javaid
0 Likes

Life Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Javaid

As you were reading Shayari by Ahmad Javaid

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Javaid

Similar Moods

As you were reading Life Shayari Shayari