duniya se tan ko dhanp qayamat se jaan ko | दुनिया से तन को ढाँप क़यामत से जान को - Ahmad Javaid

duniya se tan ko dhanp qayamat se jaan ko
do chadaren bahut hain tiri aan-baan ko

ik main hi rah gaya hoon kiye sar ko baar-e-dosh
kya poochte ho bhaai mere khaandaan ko

jis din se apne chaak-e-garebaan ka shor hai
taale laga gaye hain rafoogar dukaan ko

filhaal dil pe dil to liye ja rahe ho tum
aur jo hisaab bhool gaya kal-kalaan ko

dil mein se chun ke hum bhi koi guncha ai naseem
bhejenge tere haath kabhi gulistaan ko

mashghool hain safaai-o-tausee-e-dil mein hum
tangi na is makaan mein ho mehmaan ko

दुनिया से तन को ढाँप क़यामत से जान को
दो चादरें बहुत हैं तिरी आन-बान को

इक मैं ही रह गया हूँ किए सर को बार-ए-दोश
क्या पूछते हो भाई मिरे ख़ानदान को

जिस दिन से अपने चाक-ए-गरेबाँ का शोर है
ताले लगा गए हैं रफ़ूगर दुकान को

फ़िलहाल दिल पे दिल तो लिए जा रहे हो तुम
और जो हिसाब भूल गया कल-कलान को

दिल में से चुन के हम भी कोई ग़ुंचा ऐ नसीम
भेजेंगे तेरे हाथ कभी गुलसितान को

मशग़ूल हैं सफ़ाई-ओ-तौसी-ए-दिल में हम
तंगी न इस मकान में हो मेहमान को

- Ahmad Javaid
0 Likes

Mehman Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Javaid

As you were reading Shayari by Ahmad Javaid

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Javaid

Similar Moods

As you were reading Mehman Shayari Shayari