kya poochte ho shehar mein ghar aur hamaara | क्या पूछते हो शहर में घर और हमारा - Ahmad Javaid

kya poochte ho shehar mein ghar aur hamaara
rahne ka hai andaaz idhar aur hamaara

vo teg na jaane kidhar uthati hai abhi to
jhagda hai dil-e-seena-siper aur hamaara

jab hosh mein aaye to use dekh bhi lenge
filhaal hai andaaz-e-nazar aur hamaara

ye mohr o nishaan tabl-o-alam khoob hai lekin
badh jaayega kuch baar-e-safar aur hamaara

dil aisa makaan chhod ke ye haal hua hai
yaani nigah-e-khaana-badar aur hamaara

क्या पूछते हो शहर में घर और हमारा
रहने का है अंदाज़ इधर और हमारा

वो तेग़ न जाने किधर उठती है अभी तो
झगड़ा है दिल-ए-सीना-सिपर और हमारा

जब होश में आए तो उसे देख भी लेंगे
फ़िलहाल है अंदाज़-ए-नज़र और हमारा

ये मोहर ओ निशाँ तब्ल-ओ-अलम ख़ूब है लेकिन
बढ़ जाएगा कुछ बार-ए-सफ़र और हमारा

दिल ऐसा मकाँ छोड़ के ये हाल हुआ है
यानी निगह-ए-ख़ाना-बदर और हमारा

- Ahmad Javaid
0 Likes

Fasad Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Javaid

As you were reading Shayari by Ahmad Javaid

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Javaid

Similar Moods

As you were reading Fasad Shayari Shayari