hamesha dil havas-e-intiqaam par rakha | हमेशा दिल हवस-ए-इंतिक़ाम पर रक्खा - Ahmad Javaid

hamesha dil havas-e-intiqaam par rakha
khud apna naam bhi dushman ke naam par rakha

vo baadshaah-e-firaq-o-visaal hai us ne
jo baar sab p giran tha ghulaam par rakha

kiye hain sab ko ata us ne ohda o mansab
mujhe bhi seena-kharaashi ke kaam par rakha

koi sawaar utha hai pas-e-ghubaar-e-fanaa
qaza ne haath kulaah o niyaam par rakha

kisi ne be-sar-o-paai ke baawajood mujhe
zameen-e-sajda o arz-e-qayaam par rakha

हमेशा दिल हवस-ए-इंतिक़ाम पर रक्खा
ख़ुद अपना नाम भी दुश्मन के नाम पर रक्खा

वो बादशाह-ए-फ़िराक़-ओ-विसाल है उस ने
जो बार सब प गिराँ था ग़ुलाम पर रक्खा

किए हैं सब को अता उस ने ओहदा ओ मंसब
मुझे भी सीना-ख़राशी के काम पर रक्खा

कोई सवार उठा है पस-ए-ग़ुबार-ए-फ़ना
क़ज़ा ने हाथ कुलाह ओ नियाम पर रक्खा

किसी ने बे-सर-ओ-पाई के बावजूद मुझे
ज़मीन-ए-सज्दा ओ अर्ज़-ए-क़याम पर रक्खा

- Ahmad Javaid
0 Likes

Shohrat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Javaid

As you were reading Shayari by Ahmad Javaid

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Javaid

Similar Moods

As you were reading Shohrat Shayari Shayari