us ke lehje ka vo utaar chadhaao | उस के लहजे का वो उतार चढ़ाओ - Ahmad Javaid

us ke lehje ka vo utaar chadhaao
raat ki narm rau nadi ka bahao

us ki aankhon ke wasf kya likkhoon
jaise khwaabon ka be-karaan thehraao

un nigaahon ki guftugoo mein hai
neend mein gum hawaon ka uljhaao

us badan ki nazaakatein mat pooch
sheesha-e-gul mein chaand ka lehraao

neend ki vaadiyon mein pichhle pahar
ek lai ek naghma ek alaav

aisi tanhaai ka mudaava kya
saath daryaon mein akeli naav

un labon ki vo bosa bosa uthaan
aur palkon ka nashsha nashsha jhukao

us gali us dayaar ki khush-boo
ai subuk-sair narm-gaam hawao

naujawaani mein maut ki khwaahish
tum hi samjha sako to kuch samjhaao

jaane vo guncha kis chaman ka hai
jis mein gum hai bahaar ka failao

raat kahti hai mujh ko pyaar se dekh
mujh mein hai chashm-e-yaar ka gehraao

shola-e-jan hai bujhne ko jaaved
aur dil mein dahak raha hai alaav

उस के लहजे का वो उतार चढ़ाओ
रात की नर्म रौ नदी का बहाओ

उस की आँखों के वस्फ़ क्या लिक्खूँ
जैसे ख़्वाबों का बे-कराँ ठहराओ

उन निगाहों की गुफ़्तुगू में है
नींद में गुम हवाओं का उलझाओ

उस बदन की नज़ाकतें मत पूछ
शीशा-ए-गुल में चाँद का लहराओ

नींद की वादियों में पिछले पहर
एक लै एक नग़्मा एक अलाव

ऐसी तंहाई का मुदावा क्या
सात दरियाओं में अकेली नाव

उन लबों की वो बोसा बोसा उठान
और पलकों का नश्शा नश्शा झुकाओ

उस गली उस दयार की ख़ुश-बू
ऐ सुबुक-सैर नर्म-गाम हवाओ

नौजवानी में मौत की ख़्वाहिश
तुम ही समझा सको तो कुछ समझाओ

जाने वो ग़ुंचा किस चमन का है
जिस में गुम है बहार का फैलाओ

रात कहती है मुझ को प्यार से देख
मुझ में है चश्म-ए-यार का गहराओ

शोला-ए-जाँ है बुझने को 'जावेद'
और दिल में दहक रहा है अलाव

- Ahmad Javaid
0 Likes

Kamar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Javaid

As you were reading Shayari by Ahmad Javaid

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Javaid

Similar Moods

As you were reading Kamar Shayari Shayari