hamaari ham-nafsi ko bhi kya davaam hua | हमारी हम-नफ़सी को भी क्या दवाम हुआ - Ahmad Javaid

hamaari ham-nafsi ko bhi kya davaam hua
vo abr-e-surkh to main nakhl-e-intiqaam hua

yahin se mere adoo ka khameer utha tha
zameen dekh ke main teg-e-be-niyaam hua

khabar nahin hai mere baadshaah ko shaayad
hazaar martaba azaad ye ghulaam hua

ajab safar tha ajab-tar musaafirat meri
zameen shuroo hui aur main tamaam hua

vo kaahili hai ki dil ki taraf se ghaafil hain
khud apne ghar ka bhi hum se na intizaam hua

hui hai khatm dar-o-baam ki kam-asbaabi
mayassar aaj vo samaan-e-inhidaam hua

हमारी हम-नफ़सी को भी क्या दवाम हुआ
वो अब्र-ए-सुर्ख़ तो मैं नख़्ल-ए-इंतिक़ाम हुआ

यहीं से मेरे अदू का ख़मीर उट्ठा था
ज़मीन देख के मैं तेग़-ए-बे-नियाम हुआ

ख़बर नहीं है मिरे बादशाह को शायद
हज़ार मर्तबा आज़ाद ये ग़ुलाम हुआ

अजब सफ़र था अजब-तर मुसाफ़िरत मेरी
ज़मीं शुरू हुई और मैं तमाम हुआ

वो काहिली है कि दिल की तरफ़ से ग़ाफ़िल हैं
ख़ुद अपने घर का भी हम से न इंतिज़ाम हुआ

हुई है ख़त्म दर-ओ-बाम की कम-अस्बाबी
मयस्सर आज वो सामान-ए-इन्हिदाम हुआ

- Ahmad Javaid
0 Likes

Akhbaar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Javaid

As you were reading Shayari by Ahmad Javaid

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Javaid

Similar Moods

As you were reading Akhbaar Shayari Shayari