aakhirul-amr tiri samt safar karte hain | आख़िरुल-अम्र तिरी सम्त सफ़र करते हैं - Ahmad Javaid

aakhirul-amr tiri samt safar karte hain
aaj is nakhl-e-masaafat ko shajar karte hain

jo hai aabaad tiri aaina-samaani se
hum isee khaana-e-hairat mein basar karte hain

dil to vo pet ka halka hai ki bas kuch na kaho
apni haalat se kab aison ko khabar karte hain

vasl aur hijr hain dono hi miyaan se bai'at
dekhiye kis pe inaayat ki nazar karte hain

dil ne kuch zor dikhaaya to ye sunna ik din
hum bhi alwand-e-gham-e-yaar ko sar karte hain

tum ko to deen ki bhi fikr hai duniya ki bhi
bhaai hum to yoonhi bekar basar karte hain

आख़िरुल-अम्र तिरी सम्त सफ़र करते हैं
आज इस नख़्ल-ए-मसाफ़त को शजर करते हैं

जो है आबाद तिरी आइना-सामानी से
हम इसी ख़ाना-ए-हैरत में बसर करते हैं

दिल तो वो पेट का हल्का है कि बस कुछ न कहो
अपनी हालत से कब ऐसों को ख़बर करते हैं

वस्ल और हिज्र हैं दोनों ही मियाँ से बैअत
देखिए किस पे इनायत की नज़र करते हैं

दिल ने कुछ ज़ोर दिखाया तो ये सुनना इक दिन
हम भी अलवंद-ए-ग़म-ए-यार को सर करते हैं

तुम को तो दीन की भी फ़िक्र है दुनिया की भी
भाई हम तो यूँही बेकार बसर करते हैं

- Ahmad Javaid
0 Likes

Shajar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Javaid

As you were reading Shayari by Ahmad Javaid

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Javaid

Similar Moods

As you were reading Shajar Shayari Shayari