kiya hai dil ne begaana jahaan-e-murg-o-maahi se | किया है दिल ने बेगाना जहान-ए-मुर्ग़-ओ-माही से - Ahmad Javaid

kiya hai dil ne begaana jahaan-e-murg-o-maahi se
humein jaageer-e-aazaadi mili darbaar-e-shaahi se

khila hai guncha-e-hairat hawa-e-gaah-gaahi se
hue majzoob rafta rafta us ki kam-nigaahi se

tiri duniya mein ai dil hum bhi ik goshe mein rahte hain
humein bhi kuch ummeedein hain tiri aalam-panaahi se

reaaya mein shahenshah-e-junoon ki hum bhi daakhil hain
humein bhi kuch na kuch nisbat to hai zill-e-ilaahi se

hue hain bas-ki bai'at us nazar ke khaanvaade mein
faqiri se taalluq hai na matlab baadshaahi se

kiya hai us nazar ne sarfaraz ahl-e-mohabbat ko
kisi ko taaj-daari se kisi ko be-kulaahi se

kahaan vo khanum-barbaadi-e-ishq aur kahaan ye hum
fira karte hain yoonhi dar-b-dar waahi tabaahi se

किया है दिल ने बेगाना जहान-ए-मुर्ग़-ओ-माही से
हमें जागीर-ए-आज़ादी मिली दरबार-ए-शाही से

खिला है ग़ुंचा-ए-हैरत हवा-ए-गाह-गाही से
हुए मज्ज़ूब रफ़्ता रफ़्ता उस की कम-निगाही से

तिरी दुनिया में ऐ दिल हम भी इक गोशे में रहते हैं
हमें भी कुछ उम्मीदें हैं तिरी आलम-पनाही से

रेआया में शहंशाह-ए-जुनूँ की हम भी दाख़िल हैं
हमें भी कुछ न कुछ निस्बत तो है ज़िल्ल-ए-इलाही से

हुए हैं बस-कि बैअत उस नज़र के ख़ानवादे में
फ़क़ीरी से तअल्लुक़ है न मतलब बादशाही से

किया है उस नज़र ने सरफ़राज़ अहल-ए-मोहब्बत को
किसी को ताज-दारी से किसी को बे-कुलाही से

कहाँ वो ख़ानुमाँ-बर्बादी-ए-इश्क़ और कहाँ ये हम
फिरा करते हैं यूँही दर-ब-दर वाही तबाही से

- Ahmad Javaid
0 Likes

Nigaah Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Javaid

As you were reading Shayari by Ahmad Javaid

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Javaid

Similar Moods

As you were reading Nigaah Shayari Shayari