jab bhi aankhon mein tiri ruksat ka manzar aa gaya | जब भी आँखों में तिरी रुख़्सत का मंज़र आ गया

  - Ahmad Nadeem Qasmi

jab bhi aankhon mein tiri ruksat ka manzar aa gaya
aaftaab-e-waqt neze ke barabar aa gaya

dosti ki jab duhaai di to sharq-o-gharb se
haath mein patthar liye yaaron ka lashkar aa gaya

is safar mein go tamaazat to bahut thi hijr ki
main tiri yaadon ki chaanv sar pe le kar aa gaya

go zameen-o-aasman masroof-e-gardish hain magar
jab bhi gardish ka sabab socha to chakkar aa gaya

aadmi ko hashr ke manzar nazar aane lage
us ke qabze mein jab ik zarre ka jauhar aa gaya

husn-e-insaan dafn ho jaane se mitaa hai kahaan
phool ban kar khaak ke parde se baahar aa gaya

ashk jab tapke kisi bekas ki aankhon se nadeem
yun laga toofaan ki zad mein samundar aa gaya

जब भी आँखों में तिरी रुख़्सत का मंज़र आ गया
आफ़्ताब-ए-वक़्त नेज़े के बराबर आ गया

दोस्ती की जब दुहाई दी तो शर्क़-ओ-ग़र्ब से
हाथ में पत्थर लिए यारों का लश्कर आ गया

इस सफ़र में गो तमाज़त तो बहुत थी हिज्र की
मैं तिरी यादों की छाँव सर पे ले कर आ गया

गो ज़मीन-ओ-आसमाँ मसरूफ़-ए-गर्दिश हैं मगर
जब भी गर्दिश का सबब सोचा तो चक्कर आ गया

आदमी को हश्र के मंज़र नज़र आने लगे
उस के क़ब्ज़े में जब इक ज़र्रे का जौहर आ गया

हुस्न-ए-इंसाँ दफ़्न हो जाने से मिटता है कहाँ
फूल बन कर ख़ाक के पर्दे से बाहर आ गया

अश्क जब टपके किसी बेकस की आँखों से 'नदीम'
यूँ लगा तूफ़ान की ज़द में समुंदर आ गया

  - Ahmad Nadeem Qasmi

Nazara Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Nadeem Qasmi

As you were reading Shayari by Ahmad Nadeem Qasmi

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Nadeem Qasmi

Similar Moods

As you were reading Nazara Shayari Shayari