tamaam jism agar la-ubaal hai to rahe | तमाम जिस्म अगर ला-उबाल है तो रहे - Ahmad Nesar

tamaam jism agar la-ubaal hai to rahe
wahi jo dasht mein tanhaa ghazaal hai to rahe

faqeer bhool chuka hai nisaab duniya ka
tire naseeb mein maal-o-manaal hai to rahe

aziz rakhti hai mujh ko watan ki khaak bahut
tire khuloos mein ranj-o-malaal hai to rahe

kiya hai jang ko ruksat magar dua de kar
adoo ke paas agar us ki dhaal hai to rahe

talash karne ko nikle bahut se log tujhe
nishaan qadmon ka milna muhaal hai to rahe

hisaar baandh rahi hai nisaar sarshaari
khilaaf aaj junoon-o-shumaal hai to rahe

तमाम जिस्म अगर ला-उबाल है तो रहे
वही जो दश्त में तन्हा ग़ज़ाल है तो रहे

फ़क़ीर भूल चुका है निसाब दुनिया का
तिरे नसीब में माल-ओ-मनाल है तो रहे

अज़ीज़ रखती है मुझ को वतन की ख़ाक बहुत
तिरे ख़ुलूस में रंज-ओ-मलाल है तो रहे

किया है जंग को रुख़्सत मगर दुआ दे कर
अदू के पास अगर उस की ढाल है तो रहे

तलाश करने को निकले बहुत से लोग तुझे
निशान क़दमों का मिलना मुहाल है तो रहे

हिसार बाँध रही है 'निसार' सरशारी
ख़िलाफ़ आज जुनूब-ओ-शुमाल है तो रहे

- Ahmad Nesar
0 Likes

Patriotic Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Nesar

As you were reading Shayari by Ahmad Nesar

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Nesar

Similar Moods

As you were reading Patriotic Shayari Shayari