hawa kya hashr barpaati nahin hai | हवा क्या हश्र बरपाती नहीं है - Ahmad Nesar

hawa kya hashr barpaati nahin hai
meri saanson ko mahkaati nahin hai

yahan jazbon ke sote phoote hain
nadi aankhon ki barsaati nahin hai

koi bhi subh jo hamdard nikle
koi bhi shaam jo ghaati nahin hai

musalsal ghoomne mehwar pe apne
ye duniya phir bhi chakraati nahin hai

makeen saare hain sab ka aashiyana
kisi ka mulk ye zaati nahin hai

kata ik ped aangan ka hamaare
nahoosat ghar se ab jaati nahin hai

bada ehsaan gardish ne kiya ye
hamaare saath uktaati nahin hai

हवा क्या हश्र बरपाती नहीं है
मिरी साँसों को महकाती नहीं है

यहाँ जज़्बों के सोते फूटते हैं
नदी आँखों की बरसाती नहीं है

कोई भी सुब्ह जो हमदर्द निकले
कोई भी शाम जो घाती नहीं है

मुसलसल घूमने मेहवर पे अपने
ये दुनिया फिर भी चकराती नहीं है

मकीं सारे हैं सब का आशियाना
किसी का मुल्क ये ज़ाती नहीं है

कटा इक पेड़ आँगन का हमारे
नहूसत घर से अब जाती नहीं है

बड़ा एहसान गर्दिश ने किया ये
हमारे साथ उकताती नहीं है

- Ahmad Nesar
0 Likes

Pollution Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Nesar

As you were reading Shayari by Ahmad Nesar

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Nesar

Similar Moods

As you were reading Pollution Shayari Shayari