ye kaayenaat to hai pitaara faqeer ka
hota nahin ghuroob sitaara faqeer ka
duniya mureed ban ke khadi hai magar hunooz
faqaa mein ho raha hai guzaara faqeer ka
sadqe mein mil gaeein theen duaaein faqeer se
chamkega to hayaat-sitaara faqeer ka
thokar mein us ko rakhna hi kaar-e-sawaab hai
duniya to hai janab utaara faqeer ka
ye kaafiyaat bayaan mein aati nahin nisaar
jab goonjtaa hai zehan mein na'ra faqeer ka
ये काएनात तो है पिटारा फ़क़ीर का
होता नहीं ग़ुरूब सितारा फ़क़ीर का
दुनिया मुरीद बन के खड़ी है मगर हुनूज़
फ़ाक़ा में हो रहा है गुज़ारा फ़क़ीर का
सदक़े में मिल गईं थीं दुआएँ फ़क़ीर से
चमकेगा तो हयात-सितारा फ़क़ीर का
ठोकर में उस को रखना ही कार-ए-सवाब है
दुनिया तो है जनाब उतारा फ़क़ीर का
ये कैफ़ियात बयान में आती नहीं 'निसार'
जब गूँजता है ज़ेहन में ना'रा फ़क़ीर का
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Nesar
our suggestion based on Ahmad Nesar
As you were reading Miscellaneous Shayari