tu khud ko dekh le kitna daraaz-qamat hai | तू ख़ुद को देख ले कितना दराज़-क़ामत है - Ahmad Nesar

tu khud ko dekh le kitna daraaz-qamat hai
tira falak to mere chaand ki badaulat hai

kisi bhi haal mein hum kharch kar nahin sakte
hamaara dard tiri di hui amaanat hai

mera vujood abhi barf ki misaal nahin
bachi hui abhi is raakh mein tamaazat hai

jawaab eent ka dena padega patthar se
yahi hai rasm yahan ki yahi rivaayat hai

ajeeb chaar-taraf hai fazaa mein khaamoshi
ye kya maqaam hai kis qahar ki alaamat hai

nahin charaagh to jugnoo ka qaafila bheje
bahut siyaah hai rasta bahut zaroorat hai

nisaar tez qadam hai bahut ye duniya to
ki ab padaav bhi karna tujhe qayamat hai

तू ख़ुद को देख ले कितना दराज़-क़ामत है
तिरा फ़लक तो मिरे चाँद की बदौलत है

किसी भी हाल में हम ख़र्च कर नहीं सकते
हमारा दर्द तिरी दी हुई अमानत है

मिरा वजूद अभी बर्फ़ की मिसाल नहीं
बची हुई अभी इस राख में तमाज़त है

जवाब ईंट का देना पड़ेगा पत्थर से
यही है रस्म यहाँ की यही रिवायत है

अजीब चार-तरफ़ है फ़ज़ा में ख़ामोशी
ये क्या मक़ाम है किस क़हर की अलामत है

नहीं चराग़ तो जुगनू का क़ाफ़िला भेजे
बहुत सियाह है रस्ता बहुत ज़रूरत है

'निसार' तेज़ क़दम है बहुत ये दुनिया तो
कि अब पड़ाव भी करना तुझे क़यामत है

- Ahmad Nesar
0 Likes

Aasman Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Nesar

As you were reading Shayari by Ahmad Nesar

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Nesar

Similar Moods

As you were reading Aasman Shayari Shayari