khud par nahin tuyoor ki ab dastaras ki bas | ख़ुद पर नहीं तुयूर की अब दस्तरस कि बस - Ahmad Nesar

khud par nahin tuyoor ki ab dastaras ki bas
masti mein ja rahe hain yun soo-e-qafas ki bas

khwaahish kahaan urooj se utri hai zer-e-khaak
mazboot door se use is tarah kas ki bas

mahka hua vujood hai raushan hai meri khaak
aise ravaan hai phir teri boo-e-nafs ki bas

har dam tire khayal ne neela kiya badan
sab zahar kheench le mera is tarah das ki bas

maktub mein likha hai mujhe ab shifaa mile
beemaar ko ata ho kabhi ek mas ki bas

aankhen lahu-luhaan theen chehre bhi the malaal
is tarah deedaani tha vo sola-baras ki bas

ik umr ki thakaan se hai jism shal nisaar
manzoor ab nahin mujhe bhaang-o-jaras ki bas

ख़ुद पर नहीं तुयूर की अब दस्तरस कि बस
मस्ती में जा रहे हैं यूँ सू-ए-क़फ़स कि बस

ख़्वाहिश कहाँ उरूज से उतरी है ज़ेर-ए-ख़ाक
मज़बूत दूर से उसे इस तरह कस कि बस

महका हुआ वजूद है रौशन है मेरी ख़ाक
ऐसे रवाँ है फिर तेरी बू-ए-नफ़स कि बस

हर दम तिरे ख़याल ने नीला किया बदन
सब ज़हर खींच ले मिरा इस तरह डस कि बस

मक्तूब में लिखा है मुझे अब शिफ़ा मिले
बीमार को अता हो कभी एक मस कि बस

आँखें लहू-लुहान थीं चेहरे भी थे मलाल
इस तरह दीदनी था वो सोला-बरस कि बस

इक उम्र की थकान से है जिस्म शल 'निसार'
मंज़ूर अब नहीं मुझे भाँग-ओ-जरस कि बस

- Ahmad Nesar
0 Likes

Dillagi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Nesar

As you were reading Shayari by Ahmad Nesar

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Nesar

Similar Moods

As you were reading Dillagi Shayari Shayari