vo hai bhagwaan vo patthar main nahin rah saka
vo kisi aur ke paikar mein nahin rah saka
dharti aakaash samay kuchh bhi nahin us ke liye
vo kisi waqt-e-muqarrar mein nahin rah saka
vo hai la-intihaa mahboos nahin hoga vo
aks us ka kisi manzar mein nahin rah saka
din ka raja hoon ujaala hai singhaasan mera
mera dam ghutta hai main ghar mein nahin rah saka
jitne dharti pe praani hain main hoon un se alag
main hoon insaan main bandar mein nahin rah saka
apne andar mein koi bojh nahin rakhta soz
shiv koi jaise samundar mein nahin rah saka
वो है भगवान वो पत्थर मैं नहीं रह सकता
वो किसी और के पैकर में नहीं रह सकता
धरती आकाश समय कुछ भी नहीं उस के लिए
वो किसी वक़्त-ए-मुक़र्रर में नहीं रह सकता
वो है ला-इंतिहा महबूस नहीं होगा वो
अक्स उस का किसी मंज़र में नहीं रह सकता
दिन का राजा हूँ उजाला है सिंघासन मेरा
मेरा दम घुटता है मैं घर में नहीं रह सकता
जितने धरती पे प्राणी हैं मैं हूँ उन से अलग
मैं हूँ इंसान मैं बंदर में नहीं रह सकता
अपने अंदर में कोई बोझ नहीं रखता 'सोज़'
शिव कोई जैसे समुंदर में नहीं रह सकता
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Soz
our suggestion based on Ahmad Soz
As you were reading Tasweer Shayari Shayari