naye manzar ki justuju bhi karoon
main use apne roo-b-roo bhi karoon
sab se ummeed bhi rakhoon achhi
aur ek ek ko adoo bhi karoon
husn us ka mujhe ibadat sa
apni aankhen zara wuzoo bhi karoon
us ke dil ko paseejanaa hai mujhe
apne aansu kabhi lahu bhi karoon
saari makhluq satr-posh nahin
husn ko rashk-e-aabroo bhi karoon
le luun phoolon se husn ki daulat
apni ghazalon ko rang-o-boo bhi karoon
नए मंज़र की जुस्तुजू भी करूँ
मैं उसे अपने रू-ब-रू भी करूँ
सब से उम्मीद भी रखूँ अच्छी
और एक एक को अदू भी करूँ
हुस्न उस का मुझे इबादत सा
अपनी आँखें ज़रा वुज़ू भी करूँ
उस के दिल को पसीजना है मुझे
अपने आँसू कभी लहू भी करूँ
सारी मख़्लूक़ सत्र-पोश नहीं
हुस्न को रश्क-ए-आबरू भी करूँ
ले लूँ फूलों से हुस्न की दौलत
अपनी ग़ज़लों को रंग-ओ-बू भी करूँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Soz
our suggestion based on Ahmad Soz
As you were reading Kamar Shayari Shayari