lafzon ke but toot chuke hain | लफ़्ज़ों के बुत टूट चुके हैं - Ahmad Soz

lafzon ke but toot chuke hain
kora kaaghaz pada hua hai

gidh ne kab zindon ko nocha
sher ne kab murdon ko chhua hai

apni apni been sambhalo
suna hai shehar mein naag aaya hai

goonge bol rahe hain patthar
sannaata reza reza hai

ghar ka kuaan bhi be-masrif sa
saagar mein tezaab bhara hai

saunp gai hai khud ko mujhe vo
haraa bhara din aawaara hai

naddi mein jee bhar ke nahaaye'n
kuaan badan se bhar jaata hai

लफ़्ज़ों के बुत टूट चुके हैं
कोरा काग़ज़ पड़ा हुआ है

गिध ने कब ज़िंदों को नोचा
शेर ने कब मुर्दों को छुआ है

अपनी अपनी बीन सँभालो
सुना है शहर में नाग आया है

गूँगे बोल रहे हैं पत्थर
सन्नाटा रेज़ा रेज़ा है

घर का कुआँ भी बे-मसरफ़ सा
सागर में तेज़ाब भरा है

सौंप गई है ख़ुद को मुझे वो
हरा भरा दिन आवारा है

नद्दी में जी भर के नहाएँ
कुआँ बदन से भर जाता है

- Ahmad Soz
0 Likes

Ghar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Soz

As you were reading Shayari by Ahmad Soz

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Soz

Similar Moods

As you were reading Ghar Shayari Shayari