ilm bhi aazaar lagta hai mujhe
aadmi akhbaar lagta hai mujhe
cheekhti sadken dhuaan petrol boo
shehar to beemaar lagta hai mujhe
is qadar mahfooz rehta hai ki vo
raam ka avtaar lagta hai mujhe
roz nazmein kehna chapwaanaa kahi
ek kaarobaar lagta hai mujhe
shaayeri achhi buri maaloom hai
baaki sab bekar lagta hai mujhe
इल्म भी आज़ार लगता है मुझे
आदमी अख़बार लगता है मुझे
चीख़ती सड़कें धुआँ पेट्रोल बू
शहर तो बीमार लगता है मुझे
इस क़दर महफ़ूज़ रहता है कि वो
राम का अवतार लगता है मुझे
रोज़ नज़्में कहना छपवाना कहीं
एक कारोबार लगता है मुझे
शाएरी अच्छी बुरी मालूम है
बाक़ी सब बेकार लगता है मुझे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Soz
our suggestion based on Ahmad Soz
As you were reading Education Shayari Shayari