lafz mein tasveer mein patthar mein qaid
sab ne us ko kar diya manzar mein qaid
dil to bechaara yun hi badnaam hai
jo bhi hai vo sab ka sab hai sar mein qaid
sirf achha hona hi sab kuchh nahin
qadr hai insaan ki ab zar mein qaid
aaj ka din shar-pasando'n ka hai phir
shehar saara ho gaya hai ghar mein qaid
aasmaan ki wusa'aten karwa mujhe
aur kab tak main rahoon paikar main qaid
mere sher'on mein bhi hain tah-daariyaan
jaise khushboo rahti hai ambar mein qaid
लफ़्ज़ में तस्वीर में पत्थर में क़ैद
सब ने उस को कर दिया मंज़र में क़ैद
दिल तो बेचारा यूँ ही बदनाम है
जो भी है वो सब का सब है सर में क़ैद
सिर्फ़ अच्छा होना ही सब कुछ नहीं
क़द्र है इंसान की अब ज़र में क़ैद
आज का दिन शर-पसंदों का है फिर
शहर सारा हो गया है घर में क़ैद
आसमाँ की वुसअ'तें करवा मुझे
और कब तक मैं रहूँ पैकर मैं क़ैद
मेरे शे'रों में भी हैं तह-दारियाँ
जैसे ख़ुशबू रहती है अम्बर में क़ैद
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Soz
our suggestion based on Ahmad Soz
As you were reading Nazara Shayari Shayari