jaane kaisi baadlon ke darmiyaan saazish hui | जाने कैसी बादलों के दरमियाँ साज़िश हुई - Ahmad Tanvir

jaane kaisi baadlon ke darmiyaan saazish hui
mera ghar mitti ka tha mere hi ghar baarish hui

dahmaki aoraq mein kal shab jo us ka khat mila
nange paanv ghaas par chalne ki phir khwaahish hui

jin ki buniyaadein hi apne paanv par girne ko theen
un gharo ki reshmi pardo se aaraish hui

mere khun ka zaa'ika jab doston ne chakh liya
jism ke phir ek ek qatre ki farmaaish hui

जाने कैसी बादलों के दरमियाँ साज़िश हुई
मेरा घर मिट्टी का था मेरे ही घर बारिश हुई

दहमकी औराक़ में कल शब जो उस का ख़त मिला
नंगे पाँव घास पर चलने की फिर ख़्वाहिश हुई

जिन की बुनियादें ही अपने पाँव पर गिरने को थीं
उन घरों की रेशमी पर्दों से आराइश हुई

मेरे ख़ूँ का ज़ाइक़ा जब दोस्तों ने चख लिया
जिस्म के फिर एक एक क़तरे की फ़रमाइश हुई

- Ahmad Tanvir
0 Likes

Khat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Tanvir

As you were reading Shayari by Ahmad Tanvir

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Tanvir

Similar Moods

As you were reading Khat Shayari Shayari