mere labon pe to barson se ik sada bhi nahin | मिरे लबों पे तो बरसों से इक सदा भी नहीं - Ahmad Tanvir

mere labon pe to barson se ik sada bhi nahin
ye kaisi cheekh thi ghar mein to doosra bhi nahin

tiri kitaab mein rakhi thi titliyan jis ne
vo main hi tha ye bataane ka hausla bhi nahin

vo ehtiyaat se khud ko sambhaale rakhta hai
main toot phoot gaya us ko kuchh hua bhi nahin

zara si baat pe khanjar nikaal leta hai
kisi ko ishq mohabbat se vaasta bhi nahin

hamaare ahad ke bacchon ka khaas tohfa hai
jo zakham khushk bhi poori tarah haraa bhi nahin

मिरे लबों पे तो बरसों से इक सदा भी नहीं
ये कैसी चीख़ थी घर में तो दूसरा भी नहीं

तिरी किताब में रखी थी तितलियाँ जिस ने
वो मैं ही था ये बताने का हौसला भी नहीं

वो एहतियात से ख़ुद को सँभाले रखता है
मैं टूट फूट गया उस को कुछ हुआ भी नहीं

ज़रा सी बात पे ख़ंजर निकाल लेता है
किसी को इश्क़ मोहब्बत से वास्ता भी नहीं

हमारे अहद के बच्चों का ख़ास तोहफ़ा है
जो ज़ख़्म ख़ुश्क भी पूरी तरह हरा भी नहीं

- Ahmad Tanvir
0 Likes

Kitaaben Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahmad Tanvir

As you were reading Shayari by Ahmad Tanvir

Similar Writers

our suggestion based on Ahmad Tanvir

Similar Moods

As you were reading Kitaaben Shayari Shayari