apni hi awaaz ke qad ke barabar ho gaya
martaba insaan ka phir baala-o-bartar ho gaya
dil mein dar aaya to misl-e-gul mo'attar ho gaya
mere sher'on ka saraapa jis ka paikar ho gaya
dhalti suraj ne diya hai kitni yaadon ko farogh
chaand yun ubhara ki har zarra ujaagar ho gaya
ab to apne jism ke saaye se bhi lagta hai dar
ghar se baahar bhi nikalna ab to doobhar ho gaya
goonjtaa maahol wahshi vaahime jungle safar
uf ye kaali raat jo mera muqaddar ho gaya
haaye vo ik ashk jis ki koi manzil hi nahin
haaye vo ik be-zabaan jo ghar se be-ghar ho gaya
aap se ham kya kahein sheher-e-nigaaraan ka mizaaj
jo bhi is maahol mein aaya vo patthar ho gaya
kya hui fikr-o-tasavvur ki tire raanaaiyaan
haadisa aisa bhi kya tanveer tum par ho gaya
अपनी ही आवाज़ के क़द के बराबर हो गया
मर्तबा इंसाँ का फिर बाला-ओ-बरतर हो गया
दिल में दर आया तो मिस्ल-ए-गुल मोअ'त्तर हो गया
मेरे शे'रों का सरापा जिस का पैकर हो गया
ढलते सूरज ने दिया है कितनी यादों को फ़रोग़
चाँद यूँ उभरा कि हर ज़र्रा उजागर हो गया
अब तो अपने जिस्म के साए से भी लगता है डर
घर से बाहर भी निकलना अब तो दूभर हो गया
गूँजता माहौल वहशी वाहिमे जंगल सफ़र
उफ़ ये काली रात जो मेरा मुक़द्दर हो गया
हाए वो इक अश्क जिस की कोई मंज़िल ही नहीं
हाए वो इक बे-ज़बाँ जो घर से बे-घर हो गया
आप से हम क्या कहें शहर-ए-निगाराँ का मिज़ाज
जो भी इस माहौल में आया वो पत्थर हो गया
क्या हुईं फ़िक्र-ओ-तसव्वुर की तिरे रानाइयाँ
हादिसा ऐसा भी क्या 'तनवीर' तुम पर हो गया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahmad Tanvir
our suggestion based on Ahmad Tanvir
As you were reading Justaju Shayari Shayari