apni pehchaan bhi ab tumse karau'n main bhi
dil ki har baat ko kyun tumse bataaun main bhi
tu jo ruswa kare jaata hai zamaane mein mujhe
teri khaatir jo lage zakham dikhaaun main bhi
vaise to raaz hoon ik par hai ye khwaahish meri
jaane tu mujhse to sab raaz bataaun main bhi
teri mehfil mein khatkati hai kami shayar ki
de ijaazat ki tiri bazm mein aaun main bhi
kya hua hai tire jaane se mere dil ka haal
tu agar pooche jo dil se to sunaau main bhi
har koi tujhko sunaaye chala jaata hai yahan
hai tamannaa ke ghazal tujhko sunaau main bhi
ye siyaasat ki rivaayat hai to hoti hogi
kya ab is duniya ko aapas mein ladaaun main bhi
tumne munh fer liya meri mohabbat se to theek
par ye na hukm karo tumko bhulaaun main bhi
hai to kaafi hi nazar uski nashe ke liye par
vo ishaara jo kare jaam uthaaun main bhi
ye zaroori nahin usko bhi mohabbat ho faiz
sab mere saath hua hai ye bataaun main bhi
अपनी पहचान भी अब तुमसे कराऊँ मैं भी
दिल की हर बात को क्यूं तुमसे बताऊँ मैं भी
तू जो रुसवा करे जाता है ज़माने में मुझे
तेरी ख़ातिर जो लगे ज़ख़्म दिखाऊँ मैं भी
वैसे तो राज़ हूँ इक पर है ये ख़्वाहिश मेरी
जाने तू मुझसे तो सब राज़ बताऊँ मैं भी
तेरी महफ़िल में खटकती है कमी शायर की
दे इजाज़त कि तिरी बज़्म में आऊँ मैं भी
क्या हुआ है तिरे जाने से मिरे दिल का हाल
तू अगर पूछे जो दिल से तो सुनाऊँ मैं भी
हर कोई तुझको सुनाए चला जाता है यहाँ
है तमन्ना के ग़ज़ल तुझको सुनाऊँ मैं भी
ये सियासत की रिवायत है तो होती होगी
क्या अब इस दुनिया को आपस में लड़ाऊँ मैं भी
तुमने मुँह फेर लिया मेरी मोहब्बत से तो ठीक
पर ये न हुक्म करो तुमको भुलाऊँ मैं भी
है तो काफ़ी ही नज़र उसकी नशे के लिए पर
वो इशारा जो करे जाम उठाऊँ मैं भी
ये ज़रूरी नहीं उसको भी मोहब्बत हो 'फ़ैज़'
सब मिरे साथ हुआ है ये बताऊँ मैं भी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Faiz Ahmad
our suggestion based on Faiz Ahmad
As you were reading Sach Shayari Shayari