main tha ik sham-e-sozaan raat bhar utha dhuaan mujh se | मैं था इक शम-ए-सोज़ाँ रात भर उट्ठा धुआँ मुझ से

  - Ahsan Ahmad Ashk

main tha ik sham-e-sozaan raat bhar utha dhuaan mujh se
sooni duniya ne sau sau tarah dil ki dastaan mujh se

dubo di aabroo-e-soz-e-pinhaan tu ne aankhon ki
shikaayat kar rahe hain qatra-ha-e-raaigaan mujh se

rafeeq-e-kaarwaan-e-nigaht-e-gul hai meri vehshat
na aage badh sakegi tu nigaah-e-baagbaan mujh se

mujhe neend aa gai thi raah ki thandi hawaon mein
main ik waamaanda hoon poocho hadees-e-kaarwaan mujh se

mere dil ki tamannaa turra-e-dastaar-e-gulcheen ho
aur us par ye qayamat daad maange baagbaan mujh se

saraapa maatam-e-nazzaara hai aankhon ki maayusi
ki parda uth chuka hai aur jalwe hain nihaan mujh se

मैं था इक शम-ए-सोज़ाँ रात भर उट्ठा धुआँ मुझ से
सुनी दुनिया ने सौ सौ तरह दिल की दास्ताँ मुझ से

डुबो दी आबरू-ए-सोज़-ए-पिन्हाँ तू ने आँखों की
शिकायत कर रहे हैं क़तरा-हा-ए-राएगाँ मुझ से

रफ़ीक़-ए-कारवान-ए-निगहत-ए-गुल है मिरी वहशत
न आगे बढ़ सकेगी तू निगाह-ए-बाग़बाँ मुझ से

मुझे नींद आ गई थी राह की ठंडी हवाओं में
मैं इक वामाँदा हूँ पूछो हदीस-ए-कारवाँ मुझ से

मिरे दिल की तमन्ना तुर्रा-ए-दस्तार-ए-गुलचीं हो
और उस पर ये क़यामत दाद माँगे बाग़बाँ मुझ से

सरापा मातम-ए-नज़्ज़ारा है आँखों की मायूसी
कि पर्दा उठ चुका है और जल्वे हैं निहाँ मुझ से

  - Ahsan Ahmad Ashk

Good night Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahsan Ahmad Ashk

As you were reading Shayari by Ahsan Ahmad Ashk

Similar Writers

our suggestion based on Ahsan Ahmad Ashk

Similar Moods

As you were reading Good night Shayari Shayari