rida koi dilruba nahin hai nigaah koi dil-nasheen nahin hai | रिदा कोई दिलरुबा नहीं है निगह कोई दिल-नशीं नहीं है - Ahsan Ahmad Ashk

rida koi dilruba nahin hai nigaah koi dil-nasheen nahin hai
tilism-e-zauq-e-nazar hain jalwe vagarna koi haseen nahin hai

hamaare maqsad ki gumrahi se qadam qadam par bane hain ka'be
yahan jhuki hai wahan jhukegi kuch kuch aitibaar-e-jabeen nahin hai

azal se ye rind-e-la-ubaali gada-e-maikhana-e-nazar hai
qasam tiri kaafir ankhadiyon ki sharaab aisi kahi nahin hai

hum apna dukhda suna rahe hain vo baithe sun bhi rahe hain lekin
kuch is tarah muskuraa rahe hain ki jaise un ko yaqeen nahin hai

qasam hai un surkh aansoon ki ki jin ki ladiyaan kabhi na tooti
ki ab un aankhon mein koi qatra mata-e-'ashk'-e-hazeen nahin hai

रिदा कोई दिलरुबा नहीं है निगह कोई दिल-नशीं नहीं है
तिलिस्म-ए-ज़ौक़-ए-नज़र हैं जल्वे वगर्ना कोई हसीं नहीं है

हमारे मक़्सद की गुमरही से क़दम क़दम पर बने हैं का'बे
यहाँ झुकी है वहाँ झुकेगी कुछ कुछ ए'तिबार-ए-जबीं नहीं है

अज़ल से ये रिंद-ए-ला-उबाली गदा-ए-मैख़ाना-ए-नज़र है
क़सम तिरी काफ़िर अँखड़ियों की शराब ऐसी कहीं नहीं है

हम अपना दुखड़ा सुना रहे हैं वो बैठे सुन भी रहे हैं लेकिन
कुछ इस तरह मुस्कुरा रहे हैं कि जैसे उन को यक़ीं नहीं है

क़सम है उन सुर्ख़ आँसूओं की कि जिन की लड़ियाँ कभी न टूटीं
कि अब उन आँखों में कोई क़तरा मता-ए-'अश्क'-ए-हज़ीं नहीं है

- Ahsan Ahmad Ashk
0 Likes

Justaju Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahsan Ahmad Ashk

As you were reading Shayari by Ahsan Ahmad Ashk

Similar Writers

our suggestion based on Ahsan Ahmad Ashk

Similar Moods

As you were reading Justaju Shayari Shayari