vo thi zulfen theen aur shaana tha
kitna uljha hua fasana tha
un ka uthna hamein uthaana tha
dard-e-sar yoonhi ik bahaana tha
paanv mein aable na pad jaate
do qadam par ghareeb-khaana tha
kaif-e-ahd-e-shabaab kya kehna
har qadam par sharaab-khaana tha
kho gai thi nigaah jalvo mein
saara aalam nigaar-khaana tha
tum ne us ko bhi sun liya hota
ashk ka haal bhi fasana tha
वो थी ज़ुल्फ़ें थीं और शाना था
कितना उलझा हुआ फ़साना था
उन का उठना हमें उठाना था
दर्द-ए-सर यूँही इक बहाना था
पाँव में आबले न पड़ जाते
दो क़दम पर ग़रीब-ख़ाना था
कैफ़-ए-अह्द-ए-शबाब क्या कहना
हर क़दम पर शराब-ख़ाना था
खो गई थी निगाह जल्वों में
सारा आलम निगार-ख़ाना था
तुम ने उस को भी सुन लिया होता
'अश्क' का हाल भी फ़साना था
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ahsan Ahmad Ashk
our suggestion based on Ahsan Ahmad Ashk
As you were reading Aankhein Shayari Shayari