asr-e-haazir ka jo insaan nazar aata hai | अस्र-ए-हाज़िर का जो इंसान नज़र आता है - Ahsan Imam Ahsan

asr-e-haazir ka jo insaan nazar aata hai
bas pareshaan pareshaan nazar aata hai

nafrat-o-bugz ki masmoom hawa aisi chali
koocha-e-jaanaan bhi veeraan nazar aata hai

meri hasti ki imarat bhi gira saka hai
us ki aankhon mein jo toofaan nazar aata hai

zinda insaan bhi jalte hain chitaon mein jahaan
mulk ye aisa hi shamshaan nazar aata hai

haadisa kaisa ye guzra hai ki har soo mujh ko
karb-o-aazaar ka toofaan nazar aata hai

is qadar badh gai saffaaki-e-insaan ahsan
jis ko dekho wahi haiwaan nazar aata hai

अस्र-ए-हाज़िर का जो इंसान नज़र आता है
बस परेशान परेशान नज़र आता है

नफ़रत-ओ-बुग़्ज़ की मस्मूम हवा ऐसी चली
कूचा-ए-जानाँ भी वीरान नज़र आता है

मिरी हस्ती की इमारत भी गिरा सकता है
उस की आँखों में जो तूफ़ान नज़र आता है

ज़िंदा इंसान भी जलते हैं चिताओं में जहाँ
मुल्क ये ऐसा ही शमशान नज़र आता है

हादिसा कैसा ये गुज़रा है कि हर सू मुझ को
कर्ब-ओ-आज़ार का तूफ़ान नज़र आता है

इस क़दर बढ़ गई सफ़्फ़ाकी-ए-इंसाँ 'अहसन'
जिस को देखो वही हैवान नज़र आता है

- Ahsan Imam Ahsan
0 Likes

Pollution Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahsan Imam Ahsan

As you were reading Shayari by Ahsan Imam Ahsan

Similar Writers

our suggestion based on Ahsan Imam Ahsan

Similar Moods

As you were reading Pollution Shayari Shayari