ajeeb karb sa hai zindagi ke chehre par | अजीब कर्ब सा है ज़िंदगी के चेहरे पर - Ahsan Imam Ahsan

ajeeb karb sa hai zindagi ke chehre par
andhera jaise kisi raushni ke chehre par

yaqeen kaise karoon main tumhaari baaton ka
ki qatre ashk ke hain sholagi ke chehre par

chhupa mila mujhe gham ki siyaah raaton mein
jise main dhundh raha hoon khushi ke chehre par

zamaane-bhar mein hue haadse jo roz-o-shab
numayaan hain vo meri shaay'ri ke chehre par

jo ik khuloos tha napaaid ho gaya ahsan
ghubaar-e-bugz hai ab dosti ke chehre par

अजीब कर्ब सा है ज़िंदगी के चेहरे पर
अँधेरा जैसे किसी रौशनी के चेहरे पर

यक़ीन कैसे करूँ मैं तुम्हारी बातों का
कि क़तरे अश्क के हैं शो'लगी के चेहरे पर

छुपा मिला मुझे ग़म की सियाह रातों में
जिसे मैं ढूँड रहा हूँ ख़ुशी के चेहरे पर

ज़माने-भर में हुए हादसे जो रोज़-ओ-शब
नुमायाँ हैं वो मिरी शाइ'री के चेहरे पर

जो इक ख़ुलूस था नापैद हो गया 'अहसन'
ग़ुबार-ए-बुग़्ज़ है अब दोस्ती के चेहरे पर

- Ahsan Imam Ahsan
0 Likes

Aansoo Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahsan Imam Ahsan

As you were reading Shayari by Ahsan Imam Ahsan

Similar Writers

our suggestion based on Ahsan Imam Ahsan

Similar Moods

As you were reading Aansoo Shayari Shayari