khayal vo bhi mere zehan ke makaan mein tha | ख़याल वो भी मिरे ज़ेहन के मकान में था - Ahsan Imam Ahsan

khayal vo bhi mere zehan ke makaan mein tha
jo aaj tak na makeen-e-gumaan ke dhyaan mein tha

vo dekhta raha hasrat se aasmaan ki taraf
chhupa hua vo parinda jo saayebaan mein tha

zameen pe koi sama'at thi muntazir meri
sada ki shakl mu'alliq main aasmaan mein tha

mera naseeb to khushiyon ki bheed mein akshar
charaagh ki tarah raushan kisi dukaan mein tha

kabhi mujhe bhi to karna padega samjhauta
bahut dinon se ye khadsha mere gumaan mein tha

tire sawaal ka kaise jawaab deta main
ki jab main khoya hua fikr ki udaan mein tha

wahi to aag lagata fira gulistaan mein
jo ahsan ahl-e-chaman mein na baagbaan mein tha

ख़याल वो भी मिरे ज़ेहन के मकान में था
जो आज तक न मकीन-ए-गुमाँ के ध्यान में था

वो देखता रहा हसरत से आसमाँ की तरफ़
छुपा हुआ वो परिंदा जो साएबान में था

ज़मीं पे कोई समाअ'त थी मुंतज़िर मेरी
सदा की शक्ल मुअ'ल्लक़ मैं आसमान में था

मिरा नसीब तो ख़ुशियों की भीड़ में अक्सर
चराग़ की तरह रौशन किसी दुकान में था

कभी मुझे भी तो करना पड़ेगा समझौता
बहुत दिनों से ये ख़दशा मिरे गुमान में था

तिरे सवाल का कैसे जवाब देता मैं
कि जब मैं खोया हुआ फ़िक्र की उड़ान में था

वही तो आग लगाता फिरा गुलिस्ताँ में
जो 'अहसन' अहल-ए-चमन में न बाग़बान में था

- Ahsan Imam Ahsan
0 Likes

I Miss you Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahsan Imam Ahsan

As you were reading Shayari by Ahsan Imam Ahsan

Similar Writers

our suggestion based on Ahsan Imam Ahsan

Similar Moods

As you were reading I Miss you Shayari Shayari