bechain dil hai phir bhi chehre pe dilkashi hai | बेचैन दिल है फिर भी चेहरे पे दिलकशी है - Ahsan Imam Ahsan

bechain dil hai phir bhi chehre pe dilkashi hai
muflis ki zindagi mein jo kuch hai qudrati hai

ehsaas ka parinda jaaga hai mere andar
us ki ata se khush hoon dil mahv-e-bandagi hai

seharaaon se to pyaase laute nahin kabhi hum
dariya ke beech mein hain to pyaas lag rahi hai

hum sochte hain akshar kyun hashr sa hai barpa
jazbon mein hai taraawat fikron mein sholagi hai

mausam ki hi tarah ab insaan badal rahe hain
ye faiz-e-aagaahi hai ya qasd-e-gumrahi hai

kis se kahoon main ahsan roz-e-azl se ab tak
kutiyon mein teergi hai mahlon mein raushni hai

बेचैन दिल है फिर भी चेहरे पे दिलकशी है
मुफ़्लिस की ज़िंदगी में जो कुछ है क़ुदरती है

एहसास का परिंदा जागा है मेरे अंदर
उस की अता से ख़ुश हूँ दिल महव-ए-बंदगी है

सहराओं से तो प्यासे लौटे नहीं कभी हम
दरिया के बीच में हैं तो प्यास लग रही है

हम सोचते हैं अक्सर क्यूँ हश्र सा है बरपा
जज़्बों में है तरावत फ़िक्रों में शो'लगी है

मौसम की ही तरह अब इंसाँ बदल रहे हैं
ये फ़ैज़-ए-आगही है या क़स्द-ए-गुमरही है

किस से कहूँ मैं 'अहसन' रोज़-ए-अज़ल से अब तक
कुटियों में तीरगी है महलों में रौशनी है

- Ahsan Imam Ahsan
0 Likes

Insaan Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahsan Imam Ahsan

As you were reading Shayari by Ahsan Imam Ahsan

Similar Writers

our suggestion based on Ahsan Imam Ahsan

Similar Moods

As you were reading Insaan Shayari Shayari