lahu-luhaan sa manzar hamaari aankh mein hai | लहू-लुहान सा मंज़र हमारी आँख में है - Ahsan Imam Ahsan

lahu-luhaan sa manzar hamaari aankh mein hai
hamaara jalta hua ghar hamaari aankh mein hai

fasaad mein jo tabaahi hui hamaare yahan
usi ka aaj bhi ik dar hamaari aankh mein hai

hamaari samt uchhaala gaya tha jo ik din
lahu se surkh vo patthar hamaari aankh mein hai

nizaam hind ka bigda hai jab se ai ahsan
tabhi se surkh samundar hamaari aankh mein hai

use na cheen saka koi mujh se ai ahsan
ubharta doobta akhtar hamaari aankh mein hai

लहू-लुहान सा मंज़र हमारी आँख में है
हमारा जलता हुआ घर हमारी आँख में है

फ़साद में जो तबाही हुई हमारे यहाँ
उसी का आज भी इक डर हमारी आँख में है

हमारी सम्त उछाला गया था जो इक दिन
लहू से सुर्ख़ वो पत्थर हमारी आँख में है

निज़ाम हिन्द का बिगड़ा है जब से ऐ 'अहसन'
तभी से सुर्ख़ समुंदर हमारी आँख में है

उसे न छीन सका कोई मुझ से ऐ 'अहसन'
उभरता डूबता अख़्तर हमारी आँख में है

- Ahsan Imam Ahsan
0 Likes

Nazara Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahsan Imam Ahsan

As you were reading Shayari by Ahsan Imam Ahsan

Similar Writers

our suggestion based on Ahsan Imam Ahsan

Similar Moods

As you were reading Nazara Shayari Shayari