jidhar se vaadi-e-hairat mein hum guzarte hain | जिधर से वादी-ए-हैरत में हम गुज़रते हैं - Ahsan Rizvi Danapuri

jidhar se vaadi-e-hairat mein hum guzarte hain
udhar to ahl-e-tamanna bhi kam guzarte hain

tire huzoor jo anfaas-e-gham guzarte hain
ajab hayaat ke aalam se hum guzarte hain

ravaan hai barq ka shola sahaab-e-rahmat mein
naqaab daal ke ahl-e-sitam guzarte hain

hayaat rok rahi hai koi qadam na badhaaye
ki aaj manzil-e-hasti se hum guzarte hain

lalak badha ke faqat chand boond barsa ke
ravaan-davaan se sahaab-e-karam guzarte hain

ta'ajjub un ke liye marg-e-na-gahaani ka
jo zindagi ke maraahil se kam guzarte hain

mukhaalifat hai khuli ab na dosti ahsan
ghuti ghuti si fazaaon se hum guzarte hain

जिधर से वादी-ए-हैरत में हम गुज़रते हैं
उधर तो अहल-ए-तमन्ना भी कम गुज़रते हैं

तिरे हुज़ूर जो अन्फ़ास-ए-ग़म गुज़रते हैं
अजब हयात के आलम से हम गुज़रते हैं

रवाँ है बर्क़ का शो'ला सहाब-ए-रहमत में
नक़ाब डाल के अहल-ए-सितम गुज़रते हैं

हयात रोक रही है कोई क़दम न बढ़ाए
कि आज मंज़िल-ए-हस्ती से हम गुज़रते हैं

ललक बढ़ा के फ़क़त चंद बूँद बरसा के
रवाँ-दवाँ से सहाब-ए-करम गुज़रते हैं

तअ'ज्जुब उन के लिए मर्ग-ए-ना-गहानी का
जो ज़िंदगी के मराहिल से कम गुज़रते हैं

मुख़ालिफ़त है खुली अब न दोस्ती 'अहसन'
घुटी घुटी सी फ़ज़ाओं से हम गुज़रते हैं

- Ahsan Rizvi Danapuri
0 Likes

Aawargi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahsan Rizvi Danapuri

As you were reading Shayari by Ahsan Rizvi Danapuri

Similar Writers

our suggestion based on Ahsan Rizvi Danapuri

Similar Moods

As you were reading Aawargi Shayari Shayari