zehan ka safar tanhaa dil ki raahguzaar tanhaa | ज़ेहन का सफ़र तन्हा दिल की रहगुज़र तन्हा - Ahsan Rizvi Danapuri

zehan ka safar tanhaa dil ki raahguzaar tanhaa
aadmi hua yaaro aaj kis qadar tanhaa

muqtadir sahaaron ki har qadam pe haajat hai
kab maqaam paata hai apna ye hunar tanhaa

phir mujhe daraayengi khaamoshi ki aawaazen
phir mujhe hai tay karna raat ka safar tanhaa

jis ke saaye ne hum ko baarha panaahen deen
aaj bhi khada hai vo raah mein shajar tanhaa

daur-e-be-niyaazi mein kaun kis ko pooche hai
bheed mein bhi paata hai khud ko har bashar tanhaa

ज़ेहन का सफ़र तन्हा दिल की रहगुज़र तन्हा
आदमी हुआ यारो आज किस क़दर तन्हा

मुक़्तदिर सहारों की हर क़दम पे हाजत है
कब मक़ाम पाता है अपना ये हुनर तन्हा

फिर मुझे डराएँगी ख़ामुशी की आवाज़ें
फिर मुझे है तय करना रात का सफ़र तन्हा

जिस के साए ने हम को बारहा पनाहें दीं
आज भी खड़ा है वो राह में शजर तन्हा

दौर-ए-बे-नियाज़ी में कौन किस को पूछे है
भीड़ में भी पाता है ख़ुद को हर बशर तन्हा

- Ahsan Rizvi Danapuri
0 Likes

Raat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ahsan Rizvi Danapuri

As you were reading Shayari by Ahsan Rizvi Danapuri

Similar Writers

our suggestion based on Ahsan Rizvi Danapuri

Similar Moods

As you were reading Raat Shayari Shayari