aahon ki azaaron ki aawaazen theen | आहों की आज़ारों की आवाज़ें थीं - Ain Irfan

aahon ki azaaron ki aawaazen theen
raah mein gham ke maaron ki aawaazen theen

door khala mein ek siyaahi phaili thi
basti mein angaaron ki aawaazen theen

aankhon mein khwaabon ne shor machaaya tha
aasmaan par taaron ki aawaazen theen

ghar ke baahar aawaazen theen raston ki
aur ghar mein deewaron ki aawaazen theen

ab mujh mein ik sannaate ki cheekhen hai
pehle kuch beemaaron ki aawaazen theen

us basti pe majboori ka saaya tha
ghar ghar mein bazaaron ki aawaazen theen

आहों की आज़ारों की आवाज़ें थीं
राह में ग़म के मारों की आवाज़ें थीं

दूर ख़ला में एक सियाही फैली थी
बस्ती में अँगारों की आवाज़ें थीं

आँखों में ख़्वाबों ने शोर मचाया था
आसमान पर तारों की आवाज़ें थीं

घर के बाहर आवाज़ें थीं रस्तों की
और घर में दीवारों की आवाज़ें थीं

अब मुझ में इक सन्नाटे की चीख़ें है
पहले कुछ बीमारों की आवाज़ें थीं

उस बस्ती पे मजबूरी का साया था
घर घर में बाज़ारों की आवाज़ें थीं

- Ain Irfan
2 Likes

Dard Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ain Irfan

As you were reading Shayari by Ain Irfan

Similar Writers

our suggestion based on Ain Irfan

Similar Moods

As you were reading Dard Shayari Shayari