kya kisi baat ki saza hai mujhe | क्या किसी बात की सज़ा है मुझे

  - Ain Irfan

kya kisi baat ki saza hai mujhe
raasta phir bula raha hai mujhe

zinda rahne ki mujh ko aadat hai
roz marne ka tajurba hai mujhe

itna gum hoon ke ab mera saaya
mere andar bhi dhundhta hai mujhe

chaand ko dekh kar yun lagta he
chaand se koi dekhta hai mujhe

pehle to justuju thi manzil ki
ab koi kaam doosra he mujhe

ye meri neend kis maqaam pe hai
khwaab mein khwaab dik raha hai mujhe

aaine mein chhupa hua chehra
aisa lagta hai jaanta hai mujhe

क्या किसी बात की सज़ा है मुझे
रास्ता फिर बुला रहा है मुझे

ज़िंदा रहने की मुझ को आदत है
रोज़ मरने का तजरबा है मुझे

इतना गुम हूँ के अब मिरा साया
मेरे अंदर भी ढूँडता है मुझे

चाँद को देख कर यूँ लगता हे
चाँद से कोई देखता है मुझे

पहले तो जुस्तुजू थी मंज़िल की
अब कोई काम दूसरा हे मुझे

ये मिरी नींद किस मक़ाम पे है
ख़्वाब में ख़्वाब दिख रहा है मुझे

आइने में छुपा हुआ चेहरा
ऐसा लगता है जानता है मुझे

  - Ain Irfan

Khwab Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ain Irfan

As you were reading Shayari by Ain Irfan

Similar Writers

our suggestion based on Ain Irfan

Similar Moods

As you were reading Khwab Shayari Shayari