tanhaa tanhaa sahmi sahmi khaamoshi | तन्हा तन्हा सहमी सहमी ख़ामोशी - Ain Irfan

tanhaa tanhaa sahmi sahmi khaamoshi
jaisi hain aawaazen waisi khaamoshi

tanhaai mein chauka deti hai akshar
sannaate se baatein karti khaamoshi

be-maqsd mehfil se behtar tanhaai
be-matlab baaton se achhi khaamoshi

do aawaaze hamraahi ik raaste ki
aur dono ke beech mein chalti khaamoshi

chupke chupke ghar ko dasti rahti hai
darwaaze ki deewaron ki khaamoshi

khaamoshi ke zabt se darti aawaaze
aawazon ke shor se darti khaamoshi

तन्हा तन्हा सहमी सहमी ख़ामोशी
जैसी हैं आवाज़ें वैसी ख़ामोशी

तन्हाई में चौंका देती है अक्सर
सन्नाटे से बातें करती ख़ामोशी

बे-मक़्सद महफ़िल से बेहतर तन्हाई
बे-मतलब बातों से अच्छी ख़ामोशी

दो आवाज़े हमराही इक रस्ते की
और दोनों के बीच में चलती ख़ामोशी

चुपके चुपके घर को डसती रहती है
दरवाज़े की दीवारों की ख़ामोशी

ख़ामोशी के ज़ब्त से डरती आवाज़े
आवाज़ों के शोर से डरती ख़ामोशी

- Ain Irfan
4 Likes

Alone Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ain Irfan

As you were reading Shayari by Ain Irfan

Similar Writers

our suggestion based on Ain Irfan

Similar Moods

As you were reading Alone Shayari Shayari