haadsa kaun sa hua pehle | हादसा कौन सा हुआ पहले

  - Ain Irfan

haadsa kaun sa hua pehle
raat aayi ki din dhala pehle

ab main paani talash karta hoon
bhook thi mera mas'ala pehle

khwaab the meri dastaras mein do
main ne dekha tha doosra pehle

ab to vo bhi nazar nahin aata
dik raha tha jo raasta pehle

ab to ye bhi qadeem lagta hai
kis qadar shehar tha naya pehle

is se pehle ki tootti ummeed
toot jaana tha hausla pehle

phool ke zakham ba'd mein pochein
haath kaanton se chil gaya pehle

हादसा कौन सा हुआ पहले
रात आई कि दिन ढला पहले

अब मैं पानी तलाश करता हूँ
भूक थी मेरा मसअला पहले

ख़्वाब थे मेरी दस्तरस में दो
मैं ने देखा था दूसरा पहले

अब तो वो भी नज़र नहीं आता
दिख रहा था जो रास्ता पहले

अब तो ये भी क़दीम लगता है
किस क़दर शहर था नया पहले

इस से पहले कि टूटती उम्मीद
टूट जाना था हौसला पहले

फूल के ज़ख़्म बअ'द में पोछें
हाथ काँटों से छिल गया पहले

  - Ain Irfan

Basant Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ain Irfan

As you were reading Shayari by Ain Irfan

Similar Writers

our suggestion based on Ain Irfan

Similar Moods

As you were reading Basant Shayari Shayari