ho din ki chahe raat koi mas'ala nahin
mere liye hayaat koi mas'ala nahin
uljha hua hoon kab se sawaalon ke dasht mein
kaise kahoon main zaat koi mas'ala nahin
chalna hai saath saath ki raahen badal len ham
tu soch mere saath koi mas'ala nahin
jo ho mufeed aap wahi faisla karein
maane na meri baat koi mas'ala nahin
sehra ki tez dhoop mujhe aa gai hai raas
jungle ki sard raat koi mas'ala nahin
irfaan apne saath kabhi rah ke dekhna
khud se taalluqaat koi mas'ala nahin
हो दिन कि चाहे रात कोई मसअला नहीं
मेरे लिए हयात कोई मसअला नहीं
उलझा हुआ हूँ कब से सवालों के दश्त में
कैसे कहूँ मैं ज़ात कोई मसअला नहीं
चलना है साथ साथ कि राहें बदल लें हम
तू सोच मेरे साथ कोई मसअला नहीं
जो हो मुफ़ीद आप वही फ़ैसला करें
मानें न मेरी बात कोई मसअला नहीं
सहरा की तेज़ धूप मुझे आ गई है रास
जंगल की सर्द रात कोई मसअला नहीं
'इरफ़ान' अपने साथ कभी रह के देखना
ख़ुद से तअल्लुक़ात कोई मसअला नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ain Irfan
our suggestion based on Ain Irfan
As you were reading Irada Shayari Shayari