bala ki dhoop thi main jal raha tha
badan us ka tha aur saaya mera tha
kharaabe mein tha ik aisa kharaabaa
jahaan main sab se chhup ke baithta tha
bahut nazdeek the tasveer mein ham
magar vo fasla jo dik raha tha
jahaazi qaafila dooba tha pehle
samundar ba'ad mein oopar utha tha
zameen-o-aasman saakit pade the
mere kamre ka pankha chal raha tha
use bhi ishq ki aadat nahin thi
mera bhi pehla pehla tajurba tha
mujhe jab tak talaasha raushni ne
main poora teergi ka ho chuka tha
बला की धूप थी मैं जल रहा था
बदन उस का था और साया मिरा था
ख़राबे में था इक ऐसा ख़राबा
जहाँ मैं सब से छुप के बैठता था
बहुत नज़दीक थे तस्वीर में हम
मगर वो फ़ासला जो दिख रहा था
जहाज़ी क़ाफ़िला डूबा था पहले
समुंदर बा'द में ऊपर उठा था
ज़मीन-ओ-आसमाँ साकित पड़े थे
मिरे कमरे का पंखा चल रहा था
उसे भी इश्क़ की आदत नहीं थी
मिरा भी पहला पहला तजरबा था
मुझे जब तक तलाशा रौशनी ने
मैं पूरा तीरगी का हो चुका था
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ain Irfan
our suggestion based on Ain Irfan
As you were reading DP Shayari Shayari