kabhi jo mil na saki us khushi ka haasil hai | कभी जो मिल न सकी उस ख़ुशी का हासिल है

  - Ain Irfan

kabhi jo mil na saki us khushi ka haasil hai
ye dard hi to meri zindagi ka haasil hai

main apne aap se peecha nahin chhuda paaya
mera vujood meri bebaasi ka haasil hai

ye teergi bhi kisi raushni se nikli hai
ye raushni bhi kisi teergi ka haasil hai

hazaar kaavishein keen par nahin samajh paaya
koi bataaye to kya aadmi ka haasil hai

mera vujood jo patthar dikhaai deta hai
tamaam umr ki sheeshaagari ka haasil hai

mua'share mein jo mashhoor ho gaya irfaan
vo ek sher tiri shaayri ka haasil hai

कभी जो मिल न सकी उस ख़ुशी का हासिल है
ये दर्द ही तो मिरी ज़िंदगी का हासिल है

मैं अपने आप से पीछा नहीं छुड़ा पाया
मिरा वजूद मिरी बेबसी का हासिल है

ये तीरगी भी किसी रौशनी से निकली है
ये रौशनी भी किसी तीरगी का हासिल है

हज़ार काविशें कीं पर नहीं समझ पाया
कोई बताए तो क्या आदमी का हासिल है

मिरा वजूद जो पत्थर दिखाई देता है
तमाम उम्र की शीशागरी का हासिल है

मुआ'शरे में जो मशहूर हो गया 'इरफ़ाँ'
वो एक शेर तिरी शाइरी का हासिल है

  - Ain Irfan

Raat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ain Irfan

As you were reading Shayari by Ain Irfan

Similar Writers

our suggestion based on Ain Irfan

Similar Moods

As you were reading Raat Shayari Shayari