raat ik haadsa hua mujh mein | रात इक हादसा हुआ मुझ में - Ain Irfan

raat ik haadsa hua mujh mein
ek darwaaza sa khula mujh mein

mere andar charaagh jalte hain
raqs karti hai ik hawa mujh mein

phir se aakaar le raha hai kahi
ek chehra naya naya mujh mein

mujh ko ye kaam khud hi karna tha
umr bhar kaun jaagta mujh mein

ab bhi seena jala raha hai mera
ek suraj bujha hua mujh mein

jaane vo kaun hai jo rehta hai
sehama sehama dara dara mujh mein

रात इक हादसा हुआ मुझ में
एक दरवाज़ा सा खुला मुझ में

मेरे अंदर चराग़ जलते हैं
रक़्स करती है इक हवा मुझ में

फिर से आकार ले रहा है कहीं
एक चेहरा नया नया मुझ में

मुझ को ये काम ख़ुद ही करना था
उम्र भर कौन जागता मुझ में

अब भी सीना जला रहा है मिरा
एक सूरज बुझा हुआ मुझ में

जाने वो कौन है जो रहता है
सहमा सहमा डरा डरा मुझ में

- Ain Irfan
2 Likes

Jashn Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ain Irfan

As you were reading Shayari by Ain Irfan

Similar Writers

our suggestion based on Ain Irfan

Similar Moods

As you were reading Jashn Shayari Shayari