raat-bhar rone ka din tha | रात-भर रोने का दिन था - Ain Irfan

raat-bhar rone ka din tha
phir juda hone ka din tha

fasl-e-gul aane ki shab thi
khushbuen bone ka din tha

tishnagi peene ki shab thi
aabjoo hone ka din tha

guftugoo karne ki shab thi
khaamoshi dhone ka din tha

qaafila chalne ki shab thi
haadsa hone ka din tha

raat ke jungle se aage
chain se sone ka din tha

रात-भर रोने का दिन था
फिर जुदा होने का दिन था

फ़स्ल-ए-गुल आने कि शब थी
ख़ुशबुएँ बोने का दिन था

तिश्नगी पीने कि शब थी
आबजू होने का दिन था

गुफ़्तुगू करने कि शब थी
ख़ामुशी ढोने का दिन था

क़ाफ़िला चलने कि शब थी
हादसा होने का दिन था

रात के जंगल से आगे
चैन से सोने का दिन था

- Ain Irfan
2 Likes

Peace Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ain Irfan

As you were reading Shayari by Ain Irfan

Similar Writers

our suggestion based on Ain Irfan

Similar Moods

As you were reading Peace Shayari Shayari