paanv fanse mein haath chhudaane aaya tha | पाँव फँसे में हाथ छुड़ाने आया था - Ainuddin Azim

paanv fanse mein haath chhudaane aaya tha
tum se mil kar waapas jaane aaya tha

saara shor mere andar ka jaag utha
sannaaton mein dil bahaalne aaya tha

jungle jaisi raat kahaan tanhaa kattee
tera gham bhi haath battane aaya tha

duniya par main ne bhi parda daal diya
vo bhi dil ki baat bataane aaya tha

aankhen jhapkiin ahad-e-jawaani beet gaya
le kar kitne khwaab suhaane aaya tha

aazim dil ki kaai-zada chattaanon par
dard ka lashkar paanv jamaane aaya tha

पाँव फँसे में हाथ छुड़ाने आया था
तुम से मिल कर वापस जाने आया था

सारा शोर मिरे अंदर का जाग उट्ठा
सन्नाटों में दिल बहलाने आया था

जंगल जैसी रात कहाँ तन्हा कटती
तेरा ग़म भी हाथ बटाने आया था

दुनिया पर मैं ने भी पर्दा डाल दिया
वो भी दिल की बात बताने आया था

आँखें झपकीं अहद-ए-जवानी बीत गया
ले कर कितने ख़्वाब सुहाने आया था

'आज़िम' दिल की काई-ज़दा चट्टानों पर
दर्द का लश्कर पाँव जमाने आया था

- Ainuddin Azim
0 Likes

Duniya Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ainuddin Azim

As you were reading Shayari by Ainuddin Azim

Similar Writers

our suggestion based on Ainuddin Azim

Similar Moods

As you were reading Duniya Shayari Shayari