tumhaare bin ab ke jaan-e-jaan main ne eed karne ki thaan li hai | तुम्हारे बिन अब के जान-ए-जाँ मैं ने ईद करने की ठान ली है

  - Ainuddin Azim

tumhaare bin ab ke jaan-e-jaan main ne eed karne ki thaan li hai
ghamon ke ek ek pal se khushiyaan kasheed karne ki thaan li hai

main us ki baaton ka zahar apni khamoshiyon mein utaar loonga
agar muzir hai to main ne us ko mufeed karne ki thaan li hai

talash ki shiddaton ne arz-o-sama ki sab dooriyaan mita deen
so main ne ab teri justuju ko shadeed karne ki thaan li hai

masheen bona hai jin ka pesha unhen zameen bech di hai tum ne
kisaan ho kar khud apni mitti paleed karne ki thaan li hai

ye meri tahzeeb ka asaasa hi meri pehchaan ban sakega
tamaam kohna rivaayaton ko jadeed karne ki thaan li hai

syaah shab ka ghaneem shaayad ki aa gaya raushni ki zad mein
sabhi charaagon ko jis ne aazim shaheed karne ki thaan li hai

तुम्हारे बिन अब के जान-ए-जाँ मैं ने ईद करने की ठान ली है
ग़मों के एक एक पल से ख़ुशियाँ कशीद करने की ठान ली है

मैं उस की बातों का ज़हर अपनी ख़मोशियों में उतार लूँगा
अगर मुज़िर है तो मैं ने उस को मुफ़ीद करने की ठान ली है

तलाश की शिद्दतों ने अर्ज़-ओ-समा की सब दूरियाँ मिटा दीं
सो मैं ने अब तेरी जुस्तुजू को शदीद करने की ठान ली है

मशीन बोना है जिन का पेशा उन्हें ज़मीं बेच दी है तुम ने
किसान हो कर ख़ुद अपनी मिट्टी पलीद करने की ठान ली है

ये मेरी तहज़ीब का असासा ही मेरी पहचान बन सकेगा
तमाम कोहना रिवायतों को जदीद करने की ठान ली है

स्याह शब का ग़नीम शायद कि आ गया रौशनी की ज़द में
सभी चराग़ों को जिस ने 'आज़िम' शहीद करने की ठान ली है

  - Ainuddin Azim

Jahar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ainuddin Azim

As you were reading Shayari by Ainuddin Azim

Similar Writers

our suggestion based on Ainuddin Azim

Similar Moods

As you were reading Jahar Shayari Shayari