la-makaan se bhi pare khud se mulaqaat karein | ला-मकाँ से भी परे ख़ुद से मुलाक़ात करें - Ainuddin Azim

la-makaan se bhi pare khud se mulaqaat karein
khul ke tanhaai ki wus'at pe zara baat karein

har bade naam ko chhoton se jila milti hai
shehar ki haashiya-aaraai mazaafat karein

laaj veeraani ki rakhni hai chalo ahl-e-junoon
aablaa-paai se aabaad kharaabaat karein

khet sukhe to hawa phir se sank jaayegi
aap baadal hain to daava nahin barsaat karein

gulnavaazo humein kaanton ne nawaaza hai bahut
hum pe waajib hai ki zakhamon ki mudaarat karein

aish-e-aawaargi kya kya the tiri galiyon mein
soch ki pariyaan wahi ab guzar auqaat karein

main agar zikr bhi us ka na karoon sheron mein
isti'aaraat alaamaat ishaaraat karein

matn ko husn ke eraab ata hum ne kiye
hum se tashreeh talab jism ki aayaat karein

gair mehram se bacha apni ghazal ko aazim
chhedkhwaani na kahi maulvi hazaaraat karein

ला-मकाँ से भी परे ख़ुद से मुलाक़ात करें
खुल के तन्हाई की वुसअत पे ज़रा बात करें

हर बड़े नाम को छोटों से जिला मिलती है
शहर की हाशिया-आराई मज़ाफ़ात करें

लाज वीरानी की रखनी है चलो अहल-ए-जुनूँ
आबला-पाई से आबाद ख़राबात करें

खेत सूखे तो हवा फिर से सनक जाएगी
आप बादल हैं तो दावा नहीं बरसात करें

गुलनवाज़ो हमें काँटों ने नवाज़ा है बहुत
हम पे वाजिब है कि ज़ख़्मों की मुदारात करें

ऐश-ए-आवारगी क्या क्या थे तिरी गलियों में
सोच की परियाँ वहीं अब गुज़र औक़ात करें

मैं अगर ज़िक्र भी उस का न करूँ शेरों में
इस्तिआ'रात अलामात इशारात करें

मत्न को हुस्न के एराब अता हम ने किए
हम से तशरीह तलब जिस्म की आयात करें

ग़ैर महरम से बचा अपनी ग़ज़ल को 'आज़िम'
छेड़ख़्वानी न कहीं मौलवी हज़रात करें

- Ainuddin Azim
0 Likes

Visaal Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ainuddin Azim

As you were reading Shayari by Ainuddin Azim

Similar Writers

our suggestion based on Ainuddin Azim

Similar Moods

As you were reading Visaal Shayari Shayari