kaarobaari shehron mein zehn-o-dil masheenein hain jism kaarkhaana hai | कारोबारी शहरों में ज़ेहन-ओ-दिल मशीनें हैं जिस्म कारख़ाना है - Ainuddin Azim

kaarobaari shehron mein zehn-o-dil masheenein hain jism kaarkhaana hai
jis ki jitni aamdani itna hi bada us ke hirs ka dahana hai

ye shuoor-zaade jo manfaat-guzida hain haif un ki nazaron mein
be-gharz mulaqaatein aur khuloos ki baatein fe'al-e-ahmaqaana hai

apni zaat se qurbat apne naam se nisbat apne kaam se raghbat
apna khol hi un ka khitta-e-maraasim hai koo-e-dostaana hai

har khushi ki mehfil mein qahqahe lutate hain khud hi lootte bhi hain
gham ki majlison mein bhi sab ka apna apna sar apna apna shaana hai

jin buland shaakhon par narm-rau hawaaein hain bijliyon ka dar bhi hai
irtiqa ke jungle mein haadsaat ki zad par sab ka aashiyana hai

tarz-e-baagbaani mein shiddat-e-numoo-khezi kaise gul khilaayegi
neem-wa shagoofoon ke rang-e-dil-farebi mein boo-e-taajiraana hai

jagmagate baam-o-dar jhilmilaate rozan hain chamchamaati dahleezein
zaahiri chamak aazim turra-e-sharaafat hai raunaq-e-zamaana hai

कारोबारी शहरों में ज़ेहन-ओ-दिल मशीनें हैं जिस्म कारख़ाना है
जिस की जितनी आमदनी इतना ही बड़ा उस के हिर्स का दहाना है

ये शुऊर-ज़ादे जो मंफ़अत-गुज़ीदा हैं हैफ़ उन की नज़रों में
बे-ग़रज़ मुलाक़ातें और ख़ुलूस की बातें फ़ेअ'ल-ए-अहमक़ाना है

अपनी ज़ात से क़ुर्बत अपने नाम से निस्बत अपने काम से रग़बत
अपना ख़ोल ही उन का ख़ित्ता-ए-मरासिम है कू-ए-दोस्ताना है

हर ख़ुशी की महफ़िल में क़हक़हे लुटाते हैं ख़ुद ही लूटते भी हैं
ग़म की मजलिसों में भी सब का अपना अपना सर अपना अपना शाना है

जिन बुलंद शाख़ों पर नर्म-रौ हवाएँ हैं बिजलियों का डर भी है
इर्तिक़ा के जंगल में हादसात की ज़द पर सब का आशियाना है

तर्ज़-ए-बाग़बानी में शिद्दत-ए-नुमू-ख़ेज़ी कैसे गुल खिलाएगी
नीम-वा शगूफ़ों के रंग-ए-दिल-फ़रेबी में बू-ए-ताजिराना है

जगमगाते बाम-ओ-दर झिलमिलाते रौज़न हैं चमचमाती दहलीज़ें
ज़ाहिरी चमक 'आज़िम' तुर्रा-ए-शराफ़त है रौनक़-ए-ज़माना है

- Ainuddin Azim
0 Likes

Berozgari Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ainuddin Azim

As you were reading Shayari by Ainuddin Azim

Similar Writers

our suggestion based on Ainuddin Azim

Similar Moods

As you were reading Berozgari Shayari Shayari