zehan par jab dard khaamoshi ki chadar taantaa hai | ज़ेहन पर जब दर्द ख़ामोशी की चादर तानता है - Ainuddin Azim

zehan par jab dard khaamoshi ki chadar taantaa hai
qatra qatra aankh se lafz-o-maani chaanta hai

har kas-o-na-kas ko raas aati nahin aawaaragardi
raaste us par hi khulte hain jo chalna jaanta hai

naqsh-e-paareena hata kar main naye paikar taraashoon
kooza-gar kankar hata kar jaise mitti saanata hai

vo hai deewaana use gumnaami o tashheer se kya
khaamoshi se kar guzarta hai jo dil mein dhaanata hai

kor-chashmi ne bikhra husn ka sheeraza warna
ishtehaari jism bhi posheedagi ko maanta hai

ye sila bhi kam nahin aazim tiri mashq-e-sukhan ka
koi ghazalon ke hawaale se tujhe pahchaanta hai

ज़ेहन पर जब दर्द ख़ामोशी की चादर तानता है
क़तरा क़तरा आँख से लफ़्ज़-ओ-मआनी छानता है

हर कस-ओ-ना-कस को रास आती नहीं आवारागर्दी
रास्ते उस पर ही खुलते हैं जो चलना जानता है

नक़्श-ए-पारीना हटा कर मैं नए पैकर तराशूँ
कूज़ा-गर कंकर हटा कर जैसे मिट्टी सानता है

वो है दीवाना उसे गुमनामी ओ तश्हीर से क्या
ख़ामुशी से कर गुज़रता है जो दिल में ढानता है

कोर-चश्मी ने बिखेरा हुस्न का शीराज़ा वर्ना
इश्तिहारी जिस्म भी पोशीदगी को मानता है

ये सिला भी कम नहीं 'आज़िम' तिरी मश्क़-ए-सुख़न का
कोई ग़ज़लों के हवाले से तुझे पहचानता है

- Ainuddin Azim
0 Likes

Bahana Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ainuddin Azim

As you were reading Shayari by Ainuddin Azim

Similar Writers

our suggestion based on Ainuddin Azim

Similar Moods

As you were reading Bahana Shayari Shayari