ab junoon ke rat-jage khird mein aa gaye | अब जुनूँ के रत-जगे ख़िरद में आ गए - Ainuddin Azim

ab junoon ke rat-jage khird mein aa gaye
saare khwaab raushni ki zad mein aa gaye

log pa gaye haqeeqaten qayaas mein
hum yaqeen se gumaan ki had mein aa gaye

ilm ke muraqqabe hain ghair-mustanad
jehal ke munaazere sanad mein aa gaye

lafz-e-fath ke jo tarjumaan the kabhi
kyun simat ke harf-e-al-maddad mein aa gaye

ik panaah kya malee ki husn-o-ishq ke
sab gunaah nekiyon ki mad mein aa gaye

dal ki tah mein aazim un ki yaad rah gai
gham ubhar ke mere khaal-o-khud mein aa gaye

अब जुनूँ के रत-जगे ख़िरद में आ गए
सारे ख़्वाब रौशनी की ज़द में आ गए

लोग पा गए हक़ीक़तें क़यास में
हम यक़ीन से गुमाँ की हद में आ गए

इल्म के मुराक़बे हैं ग़ैर-मुस्तनद
जेहल के मुनाज़रे सनद में आ गए

लफ़्ज़-ए-फ़त्ह के जो तर्जुमान थे कभी
क्यूँ सिमट के हर्फ़-ए-अल-मदद में आ गए

इक पनाह क्या मली कि हुस्न-ओ-इश्क़ के
सब गुनाह नेकियों की मद में आ गए

दल की तह में 'आज़िम' उन की याद रह गई
ग़म उभर के मेरे ख़ाल-ओ-ख़द में आ गए

- Ainuddin Azim
0 Likes

I Miss you Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ainuddin Azim

As you were reading Shayari by Ainuddin Azim

Similar Writers

our suggestion based on Ainuddin Azim

Similar Moods

As you were reading I Miss you Shayari Shayari